Hello friends,
Sabse pahle sorry ki Maine aap logo ko itna wait karwaya is website ko chalu karne mein. Lekin kuchh pareshaniya thi jiski wajah se main use chalu nahi kar paa raha tha lekin ab ye chalu ho chuki hai.
To aaj ka topic ye hai ki mobile me YouTube ki videos ko kaise download karein taaki use share bhi kar sakein bina Internet ke. Kyonki YouTube ne video download karne ka option to de rakha hai lekin aap us video ko share it ya Bluetooth se share nahi kar sakte.
Par yaha ham aapko ek method batayenge jisase ki aap ye sab kar sakte hain.
Sabse pahle aapko ek app download karna hoga jiska naam hai "Vidmate" Ye app playstore pe upalabdh nahi hai. Lekin aap direct yaha se download kar sakte hain. Click here to download !Ab main maan kar chalta hu ki aapne app ko download karke install kar liya ab aap youtube video ko download kaise karenge? uske liye aapko sabse pahle
Apne YouTube ko open kare aur video ko search kare /Play karein uske baad share ke link pe click karke link ko copy karle . link copy karte hi sabse neeche daahine side pe aapko download ka nisaan dikhane lagega agar aise nahi hota hai to aap Vidmate ko open karein aur link ko uske search bar me paste kardein. Aapki video khul ke saamne aa jaayegi. Ab aap neeche diye gaye download button ko click karein aur apne man pasand video quality mein download karlein.Vidmate ko download karne ke baad bahut se logo ko ye problem aati hai ki usmein adult content jyada show hote hain ya notification pe adult notification bahut aate hain jiske karan logo ko kafi dikkat ka saamna karna padta hai. Iske liye aapko ye post padhni chahiye- VidMate ke adult notification ko kaise band karein?
I hope ki ye post aapko achhi lagi hogi. Agar ye post aapko achhi lagi ho to is post ko like karna aur apne dosto mein share karna naa bhoolein.
Dhanyawad !
0 Comments
Please make a comment of your query/suggestion or FeedBack