Hello dosto,
Ek baar aap sabhi ka fir se swagat hai Computer Tips N Trick mein.
Aaj ham aapko batane wale hain ki kaise aap apni pasand ke video ko desktop ka wallpaper bana sakte ho.
How to set Video as Desktop Wallpaper?
- VLC media player ko open karein
- uske baad Tools > Preferences or press CTRL + P uske baad video ko select karein left panel se.
- Uske baad DirectX video output pe click karein. jaisa ki image mein dikhaya gaya hai.
- sabhi changes ko save karein aur VLC media player ko restart karein.
- ab kisi bhi video ko chalaye jise aap wallpaper set karna chahte hain.
- Uske baad video option pe click karein aur DirectX wallpaper ko select karlein. jaise ki image mein dikhaya gaya hai.
I hope ki ye post aapko achhi lagi hogi. Agar ye post aapko achhi lagi ho to is post ko like karna aur apne dosto mein share karna naa bhoolein.
- Iske baad VLC ko minimize kar dein.
- Ab aap dekhenge ki aapki video Desktop pe wallpaper ki tarah set ho gayi hai.
- Agar aap apna purana wallpaper fir se wapas lagana chahte hain to aapko fir se us list mein se DirectX wallpaper ko uncheck kar dena hoga.
Dhanyawad !
0 Comments
Please make a comment of your query/suggestion or FeedBack