Kisi Bhi WiFi Ka Password Kaise Pata Kare

 


Hello Friends aaj kal Internet ka jamana hai har koi speed aur fast internet ka shuakeen hai. Aise me har jagah aapko Wi-Fi dekhane ko mill jayega, lekin isme ek problem aati hai wo sab wifi network password se secure hote hain. Agar aap bhi janna chahate hai ki kisi bhi WiFi ka password kaise pata kare? Tho is post ko end tak padhe.


Kisi bhi wifi ka password ka jaanne se pehle  aapko kuch baatein janne hogi, taaki aage ka post acche se aur easily samaj me aaye. Wi-Fi Router 2 tarah ke hote hai →

  1. WPA2 WPS Router
  2. WEP Router

    WPS [ WiFi Protected Setup ] 

    Yeh ek Wireless Network hai Jiski madad se Router aur Device ke bich me connection ko secure kiya jata hain. Yeh WPA [WiFi Protected Access] aur WPA2 [WiFi Protected Access 2 ] ke sath work karta hai. 



    Google PlayStore me aapko bahut se Wi-Fi hacking applications mill jayenge, lekin sabhi apps properly kaam nahi karte hai aur bahut se apps me bahut bugs hote hai jinki wajah se aapka mobile hang hone lag jata hai. Aaj mai aap ko kuch aise tricks ke baare me batane wala hu jo real me kaafi helpful hai. 



    Agar aap Android user hai to aap kahi bhi, kabhi bhi WiFi hack kar sakte hai. Matlab aap us wifi ka password pata kar sakte hai, iske liye aapka Android mobile Rooted hona jarur hai. Jisase aap Wi-Fi Network ka pin aasani se nikal payenge.

    Android Mobile Se Kisi Bhi WiFi Ka Password Kaise Pata Kare



    Wi-Fi ka password pata karne ke liye aapko in ↓ chizo ki jarurat padegi

    1 >> Aap ka phone rooted hona chahiye.

    2 >> Aap ke phone me WPS Connected App Installed hona chahiye.


    Kisi Bhi WiFi Ka Password Kaise Jaane 



    Friends yaha mai aapko WPS Connected App ki madad se kisi bhi WiFi ka password  kaise pata kare step by step batane wala hu, lekin yaad rahe aapka mobile rooted hona chahiye tabhi yeh application kaam karegi

    Step 1 : Sabse pehle aap apne rooted Android Mobile me WPS Connected application install kare aur usse open kare.

    Step 2 : App ko open karne ke baad Option me jaa kar Automatic ko click kare. Taaki aap ka WPS Active WiFi ko scan kar sake.

    Ab aapke aas-pas jitne bhi Active WPS Wi-Fi honge wo saare ke saare aapke samane show ho jayenge. 


    Step 3 : Yaha aap jis bhi WiFi ka password janna chahte hai us par click kare.

    Step 4 : Click karte hi aapko 3 Pin Dikhenge. Ab aap ko tino pin ko bari-bari select karke Try Pin par click karna hai. Jab tak ki aapko us Wi-Fi ka password nahi mill jata hai.

    Password search hone me thoda time lag sakta hai, isiliye kuch second tak aapko wait karna pad sakta hai. Ab kuch der me aap ko wifi ka password mil jayega jiske sath aapne connect kiya tha.

    Is trick ka istimal aap kahi bhi kisi bhi WiFi ke password ko pata karne me use kar sakte hai aur free internet ka use kar sakte hai.


    Agar aapke mann me is post ko lekar koi doubt ho to aap comment kar ke pych sakte hai. Agar aapko hamhari yeh post achi lagi to ise apne friends ke sath share jarur kare.

    If you didn't find comment section then provide a feedback in setting section.
    Reactions

    Post a Comment

    0 Comments