Aap apne android phone me is feature ko bahut jyada miss karte honge kyonki aksar hum logo se koi na koi file jaise pdf, mp3, doc, Avi, mp4, jpg, png, rar, ogg, txt and aur bahut si files galti se delete ho jati hai aur uske baad pachhtate hai ki kas delete na ki hoti ,to aise me aap ye jarur sochte honge ki kaas jaise computer me recyclebin hota hai aise hi is android mobile me bhi hota to meri file fir se restore ho jati.
To mere pyare readers aapko main aaj bataunga ki kaise recyclebin ko apne android phone me activate karte hai ,aur future me koi file agar delete bhi ho jati hai to wo aap recylebin se recover kar paye.Iske liye simply aapko ek software ko apne android smartphone me install karna hoga jiska naam hai Dumpster , aap ise google play store se free me download kar sakte hai aur ek bar aapne is apps ko download krke install kar liya to baaki ka kaam ye software khud hi karta rahega aur kabhi future me aapko dikkat nhi hogi.
Dumpster ke kuchh feature:
- ye sabhi type ki files jaise pdf, mp3, doc, Avi, mp4, jpg, png, rar, ogg, txt aur bhi bahut si files ko restore karne me maahir hai.
- Aapko apna android phone root bhi nhi karna padega.Agar aapka phone rooted hai to ye app aur bhi achhe se work karta hai ,agar root nhi hai to koi baat nhi.
- Ye file ko restore karne se pehle preview bhi dikhata hai
- Isme lock ka bhi option diya hua hai.
Step by step dumpster ko use karne ke liye
Step:1) Sabse pehle dumpster ko is link se download kar lijiye aur apne android phone me install kar lijiye.
Step:2) Iske baad Isko open karna .
Step:3) iske baad aap media par click karna aur is software ko batana ki kaun kaun si type ki file ko recyclebin me dalna hai. Jaise agar aap chahte hai koi video agar delete ho jaye to wo recycle bin me aa jaye to video ka opton select kar dena yaa fir simply all par click karke sabhi ko select kar dena.
Step:3) iske baad aap media par click karna aur is software ko batana ki kaun kaun si type ki file ko recyclebin me dalna hai. Jaise agar aap chahte hai koi video agar delete ho jaye to wo recycle bin me aa jaye to video ka opton select kar dena yaa fir simply all par click karke sabhi ko select kar dena.
Step:4) Ab kya jaise hi aap select kar doge to ye apne aap ready ho jayega aur aapki sari deleted file ko apne andar save karne lagega.
To is tarah aapse agar accidently koi pic ya video delete bhi ho jati hai to revert kar payenge is dumpster software ki help se.Aur is tarah aap apne android mobile me recyclebin add kar payenge.
Agar aapko kisi bhi step me koi dikkat ho rahi ho to comment karke mujhse puchh sakte hai ,aur Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai…..Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
0 Comments
Please make a comment of your query/suggestion or FeedBack